Ranjish hi sahi....
Ahmed Faraz .....
Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
pahle se maraasim na sahi.. phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhaane ke liye aa
kiss kiss ko bataayenge judaai ka sabab hum
tu mujhse khafaa hai to zamaane ke liye aa
kuch to mere pindaar e mohobbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujhko manaane ke liye aa
ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi mahroom
ae raahat-e-jaan mujhe rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-khush-fahm ko hain tujhse umeeden
ye aakhiri shammen bhi bujhaane ke liye aa
1 Opinions:
Another beautifuil ghazal .... another of my favs too!
Post a Comment