Thursday, May 10, 2007

Zindagi ne zindagi bhar.... gham diye...

How true.. sigh.. but.. kya kar sakte hain.
Hota hai, chalta hai... duniya hai..

Ahmed Faraz ki ek ghazal hai.. it's been ringing in my head for a few days now.. just thought I would put it up here:

'faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahin
magar - qaraar se din kat rahe hon - yoon bhi nahin

lab-o-dahan bhi mila - guftaguu ka fan bhi mila
magar - jo dil pe guzarti hai - kah sakun bhi nahin

meri zubaan ki luknat se badgumaan na ho
jo tu kahe to - tujhe umr bhar - miloon bhi nahin

'faraz' jaise koi diyaa turbat-e-havaa chaahe hai
tu paas aaye to mumkin hai - main rahoon bhi nahin

2 Opinions:

Anonymous said...

'faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahin
magar - qaraar se din kat rahe hon - yoon bhi nahin..
...zabardast


meri zubaan ki luknat se badgumaan na ho
jo tu kahe to - tujhe umr bhar - miloon bhi nahin

...ufff zaalim !!

bahut khoob yaar, kya taarif karun,
dear where is exalt button?

L o r d R a j said...

yaar.. unfortunately no exalt buttons here.

Thanks dost.

Archives