Haadase kya kya tumhaari berukhi se hogaye..
Saagar Nizami...
Haadase kya kya tumhaari berukhi se ho gaye
saari duniyaa ke liye hum ajnabi se ho gaye
gardish-e-dauraan, zamaane ki nazar, aankhon ki niind
kitne dushman ek rasm-e-dosti se ho gaye
kuch tumhaari gesuuon ki barahami ne kar diya
kuch andhere mere ghar mein roshni se ho gaye
yuun to hum aagah the saiyaad ki tadbeer se
hum aseer-e-daam-e-gul apni khudi se ho gaye
har qadam 'saqar' nazar aane lagi hain manzilen
marhale tay meri kuch aavargi se ho gaye
2 Opinions:
Have you heard Ghulam Ali sing this one? If not, its a must!!!
I havent heard Gulham Ali singin this one.. but since u mentioned it.. will start lookin for it.
thanks mate.
Post a Comment