Justaju jiski thi...
Shahryar..
Justaju jis ki thi, usko to na paaya hum ne
is bahaane se magar dekh lii duniyaa hum ne
tujhko rusavaa na kiya, khud bhi pashemaan na hue
ishq ki rasm ko is tarah nibhaaya hum ne
kab mili thi kahaan bichhadi thi - humen yaad nahin
zindagi tujhko to bas khwaab mein dekha hum ne
ae Ada aur sunaaye bhi to kya haal apna
umr ka lambaa safar tay kiya tanhaa hum ne.
1 Opinions:
What a beautiful song. Dil ko lag jaata hai. You can literally reach out and touch the pain and the ache in the heart. Stunning piece of poetry. And so lovingly rendered by Asha.
Maar daala!
~Steele
Love your blog :-)
Post a Comment