Chehare pe mere... zulf ko.. phailaao kissi din
chehare pe mere zulf ko phailaao kisi din
kya roz garajate ho - baras jaao kisi din
raazon ki tarah utaro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere haath ki - khul jaao kisi din
pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa luun
baadal ki tarah jhuum ke - ghir aao kisi din
khushbuu ki tarah guzaro mere dil ki gali se
phuulon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din
phir haath ko khairaat mile band-e-qabaa ki
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisi din
guzaren jo mere ghar se to ruk jaayen sitaare
is tarah meri raat ko chamkaao kisi din
main apni har ik saans usi raat ko de duun
sar rakh ke mere sine pe so jaao kisi din
another version of the ghazal.. also by Amjad Islam Amjad
khud apne liye baith ke sochenge kisi din
yuun hai ki tujhe bhuul ke dekhenge kisi din
bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil mein
duniya ne diyaa vaqt to likhenge kisi din
hil jaayenge ik baar to arshon ke dar-o-baam
ye khaak-nashin log jo bolenge kisi din
aapas ki kisi baat ka miltaa hi nahin vaqt
har baar ye kahte hain ke baithenge kisi din
ai jaan teri yaad ke be-naam parinde
shaakhon pe mere dard ki utarenge kisi din
jaati hai kisi jhil ki gahraai kahaan tak
aankhon mein teri duub ke dekhenge kisi din
khushbuu se bhari shaam mein jugnuu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likkhenge kisi din
soyenge teri aankh ki khlvat mein kisi raat
saaye mein teri zulf ke jaagenge kisi din
'amjad' hai yahi ab ke kafan baandh ke sar se
us shahar-e-sitamgaar mein jaayenge kisi din
0 Opinions:
Post a Comment