jab lage zakhm to qaatil ko duaa di jaaye
Jan Nissar Akhtar ...
jab lage zakhm to qaatil ko duaa di jaaye
hai yahi rasm to ye rasm uthaa di
jaaye tishnagi kuch to bujhe tishnaalab-e-gham ki
ik nadi dard ke shahron mein bahaa di jaaye
dil kaa vo haal huaa ai gham-e-dauraan ke talejaise
ik laash chattaanon mein dabaa di jaaye
hum ne insaanon ke dukh dard ka hal dhuundh liya
kya buraa hai jo ye afvaa udaa di jaaye
hum ko guzri hui sadiyaan to na pehchaanengi
aane vaale kisi lamhe ko sadaa di jaaye
phuul ban jaati hain dahke hue sholon ki laven
shart ye hai ke unhen khuub havaa di jaaye
kam nahin nashe mein jaade ki gulaabi raaten
aur agar teri javaani bhi milaa di jaaye
hum se puuchho gazal kya hai - gazal ka fan kya hai
chand lafzon mein koi aah chhupaa di jaaye
2 Opinions:
I love the poetry you post in this space!
:D
Always good to see someone appreciating these old jems.
Thanks for the comments dude.
Post a Comment