na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota
Mirza Ghalib ...
na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota
duboyaa mujh ko hone ne, na hota main to kya hota
hua jab gham se yuun behis to gham kya sar ke katne ka
na hota gar judaa tan se to zaannon par dharaa hota
hui muddat ke 'ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
wo har ek baat pe kahna ke yuun hota to kya hota
4 Opinions:
One of the Ghalib ghazals I really like. And it doesnt have those too tough urdu words he used quite oftne :-)
Hain aur bhi duniya mein.. sukhanwar bahut acche...
kehte hain ke Ghalib ka hai, andaaz e bayaan aur
Love it :)))
Thankyou
Post a Comment