Tuesday, September 11, 2007

saaqiyaa ik nazar jaam se pahle pahle

Ahmed Faraz ...

saaqiyaa ik nazar jaam se pahle pahle
hum ko jaanaa hai kahin shaam se pahle pahle

khush huaa ai dil ke muhabbat to nibhaa di tune
log ujad jaate hain anjaam se pahle pahle

ab tere zikr pe hum baat badal dete hain
kitni ragbat thi tere naam se pahle pahle

saamne umr padi hai shab-e-tanhaai ki
vo mujhe chhod gayaa shaam se pahle pahle

2 Opinions:

Sigma said...

Beautiful ghazal. I enjoy reading poetry on your blog :-)

I had been in a sort of hibernation for a while, and when I come back I realize that you have been quite prolific about your posts :-D

L o r d R a j said...

Janaab ye ghazal (n some others) hain hi itni khoobsurat ke taarif kiye bina rahaa nahin jaata.

Thanks for the comment.

Good to see you around again. :)

Archives