Sunday, October 14, 2007

apna gham leke kahin aur na jaayaa jaaye

Nida Fazli ... (Sigma... mood banaa diya yaar)

apna gham leke kahin aur na jaayaa jaaye
ghar mein bikhri hui chizon ko sajaayaa jaaye

jin chiraagon ko havaaon ka koi khauf nahin
un chiraagon ko havaaon se bachaayaa jaaye

baag mein jaane ke aadaab hua karte hain
kisi titali ko na phuulon se udaayaa jaaye

khudakushi karne ki himmat nahin hoti sab mein
aur kuch din yuun hi auron ko sataayaa jaaye

ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar len
kisi rote hue bachche ko hansaaya jaaye

1 Opinions:

Sigma said...

Ha ha ha! You got there first. As I replied to your comment, I intended to post this ghazal, as kind of finale to nida fazli series :-)
It is simply awesome! Each and every sher, each and every word, is a true gem!

Archives