der lagi aane mein tum ko
Andleeb Shadani ...
der lagi aane mein tum ko, shukr hai phir bhi aaye to
aas ne dil kaa saath na chhodaa - vaise hum ghabraaye to
shafaq dhanak mahtaab ghataayen - taare nagmein bijli phuul
us daaman mein kya kya kuch hai - vo daaman haath mein aaye to
chaahat ke badle mein hum to bech den apni marzi tak
koi mile to dil kaa gaahak - koi humein apnaaye to
kyon ye mihrangez tabassum madd-e-nazar jab kuch bhi nahin
haaye agar koi anjaan agar - is dhoke mein aa jaaye to
suni sunaai baat nahin hai, apne upar beeti hai
phuul nikalte hain sholon se - chaahat aag lagaaye to
jhuuth hai sab taarikh humeshaa apne ko dohoraati hai
achhaa mera khvaab-e-javaani - thodaa saa doharaaye to
naadaani aur majburi mein yaaro kuch to farq karo
ek bebas insaan kare kya - tuut ke dil aa jaaye to
3 Opinions:
Haaye! Kis kis sher ki taareef ki jaaye.
Excellent!
This is one of those... Timeless classics
Beautiful ghazal. I have read it earlier, but loved to be reminded of it!
Post a Comment