Wednesday, October 31, 2007

us ko judaa hue bhi zamaanaa bahut huaa

Ahmed Faraaz ...

us ko judaa hue bhi zamaanaa bahut huaa
ab kya kahen ye qissaa puraanaa bahut huaa

dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaaqai
marg-e-naagahaan tera aanaa bahut huaa

hum khuld se nikal to gaye hain par ai khudaa
itne se vaaqye kaa fasaanaa bahut huaa

ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani
us se zaraa rabt badhaanaa bahut huaa

ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar den
is aashiqi mein jaan se jaanaa bahut huaa


ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa ki us se milna milaanaa bahut huaa

kya kya na hum kharaab hue hain magar ye dil
ai yaad-e-yaar tera thikaanaa bahut huaa

kahta thaa naasehon se mere muunh na aaio
phir kya thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

lo phir tere labon pe usi bevafaa ka zikr
ahmad 'faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa

2 Opinions:

Anonymous said...

lo phir tere labon pe usi bevafaa ka zikr
ahmad 'faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa


>>>
And he turned away from them and said: "Alas, my grief for Yûsuf (Joseph)!" And he lost his sight because of the sorrow that he was suppressing.

They said: "By Allâh! You will never cease remembering Yûsuf (Joseph) until you become weak with old age, or until you be of the dead."

Surah Yusuf 12:85,85 - The Holy Qur'an - Yaqoub (Jacob) grieving over his son Yûsuf (Joseph)
<<<

L o r d R a j said...

Old age....

Dead...

hmm.. the second option is very tempting.. always had alot of questions about death too..

Ek teer se do shikaar :D

Archives