Monday, October 29, 2007

Woh jab yaad aaye

Click here to listen to the song

Lyrics by Asad Bhopali. The voice - Rafi sahib

Woh jab yaad aaye, bahut yaad aaye
gham-e-zindagi ke, andhere mein humne -
Chirag-e-mohabbat jalaye-bujhaye

Aahaten jaag uthi, raaste hans diye
thaam kar uthe dil, hum kissi ke liye
kai baar aisa bhi dhoka hua hai
chale aa rahe hain woh nazren jhukaaye

Dil sulagne laga ashk bahne lage
jaane kya-kya humen, log kahne lage
magar rote-rote, hansi aa gayi hai
khayalon mein aake woh jab muskuraye

Woh juda kya hue, zindagi kho gayi
shamma jalti rahi, roshni kho gayi
bahut koshishen ki, magar dil na bahla
kai saaz chede - kai geet gaye

4 Opinions:

Anonymous said...

chhod de saari duniya kisi ke liye,
yeh munaasib nahin aadmi ke liye

pyaar se bhi zaroori kai kaam hain,
pyaar sab kuch nahin zindagi ke liye



Time heals everything my friend...call me up anytime if you feel like meeting with people

L o r d R a j said...

Waah Steele sahib.. waah..

Thanks :)

Time heals all wounds...
Time wounds all heels.

Sigma said...

Very beautiful, very poignant song.

I can understand what you are expressing here, but I would still like to reaffirm what Steele said.
And Badr ...
Na jane dil kab dil pe nayee dastak ho
Makaan khali hua hai to koi aayega

L o r d R a j said...

Sigma ..

sigh.. Hota hai, chalta hai, duniya hai...

Gham se ab ghabraana kya, jab gham har baar mila
humne to jab kaliyaan maangi, kaanton ka haar mila.

Archives