Sunday, December 16, 2007

Aankh se duur na ho - dil se utar jaayegaa

Ahmed Faraz ...

aankh se duur na ho - dil se utar jaayegaa
vaqt ka kya hai - guzarta hai - guzar jaayegaa

itna maanuus na ho khilvat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhegaa to dar jaayegaa

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhte rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

zindagi teri ataa hai to ye jaanevaalaa
teri bakhshish teri dahaliz pe dhar jaayegaa

dubte dubte kashti to ochhaalaa de duun
main nahin - koi to saahil pe utar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka 'faraz'
zaalim ab ke bhi na royegaa to mar jaayegaa

0 Opinions:

Archives