Friday, December 14, 2007

Khoye-Khoye chand

Click here to listen to the song

aaj shab jo chand ne hai roothne ki thaan li
gardishon mein hain sitare - baat humne maan li
andheri sayh zindagi ko sujhti nahin gali
ki aaj haath thaam lo - ek haath ki kami khali

kyun - khoye-khoye chand ki firak mein - talash mein udaas hai dil
kyun - apne aap se khafa-khafa zara-zara sa naraaz hai dil

yeh manzilen bhi khud hi tai kare
yeh faasle bhi khud hi tai kare
kyun - to raaston pe phir sahem-sahem sambhal-sambhal ke chalta hai yeh dil

kyun - khoye-khoye chand ki firak mein - talash mein udaas hai dil
kyun - apne aap se khafa-khafa zara-zara sa naraaz hai dil

zindgai sawaalon ke jawaab dhondnne chali
jawaab mein sawaalon ki ek lambi si ladi mili
saawal hi saawal hai - sujhti nahin gali
ki aaj haath thaam lo - ek haaath ki kami khali

kyun - tu aaj itna vaihshi hai mizaj mein majazz hai ae gham-e-dil
kyun - apne aap se khafa-khafa zara-zara sa naraaz hai dil

dil ko samjhaana keh do kya asaan hai
dil to fitrat se - sun lo na be-imaan hai
yeh khush nahin hai jo mila - bas maangta hi hai chalaa
jaanta hai har lagi ka - dard hi hai bas ek sila

jab kabhi yeh dil laga - dard hi humen mila
dil ki har lagi ka - sun lo dard hi ek sila

kyun - naye-naye se dard ki firak mein - talaash udaas hai dil
kyun - apne aap se khafa-khafa zara-zara sa naraaz hai dil

(Yes I did miss out one paragraph, I don't like that paragraph, it just screws up the song - for me).

0 Opinions:

Archives