Zaraa si bhool mein hum, aashiyaan jalaa baithe
Zaraa si bhool mein hum, aashiyaan jalaa baithe
Ke dil ko dard ki ik dastaan banaa baithe
Chaman jalaa hai mera, in bhari bahaaron mein
Dhuaan dhuaan hai nazar - khoon hai nazaaron mein
Khizaa ki khaak se hum gulsitaan sajaa baithe
Jo dil hi saath na de, dhadkanon se kya hoga
Jo humsafar hi nahin raaston se kya hoga
Ke manzilon ke nishaan khud hi hum mita baithe
Jo tum nahin ho sanam, zindagi ka kya kije
Andhera dil mein mere, roshni ka kya kije
Ye zindagi ka diya, khud hi hum bujha baithe
0 Opinions:
Post a Comment