Monday, January 21, 2008

Rahi naguftaa mere dil mein daastaan meri

Meer Taqi Meer ...

rahi naguftaa mere dil mein daastaan meri
na is dayaar mein samajhaa koi zabaan meri

barang-e-saut-e-jaras tujh se duur hoon tanhaa
khabar nahin hai tujhe aah kaaravaan meri

usi se duur rahaa asl-e-muddaa jo thaa
gai ye umr-e-aziz aah raayagaan meri

tere firaaq mein jaise khayaal muflis ka
gai hai fikr-e-pareshaan kahaan kahaan meri

diya dikhaai mujhe to usi ka jalvaa "meer"
padi jahaan mein jaa kar nazar jahaan meri

3 Opinions:

Anonymous said...

"usi se duur rahaa asl-e-muddaa jo thaa
gai ye umr-e-aziz aah raayagaan meri"

wah...wah...bahut khoob sarkar!


Meer is amazing...



Rekhta ke tumhin ustād nahīn ho Ghālib
Kehte hain agle zamāne mein ko'ī Mīr bhī thā



~ Steele

Anonymous said...

diya dikhaai mujhe to usi ka jalvaa "meer"
padi jahaan mein jaa kar nazar jahaan meri
waaah waaah... zabardast !!

Anonymous said...

great
diya dikhaai mujhe to usi ka jalvaa "meer"
padi jahaan mein jaa kar nazar jahaan meri...
waah waah.. janaab

Archives