Us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakuun
Ameer Minai ...
us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakuun
dhuundhane us ko chalaa huun jise paa bhi na sakuun
daal kar khaak mere khuun pe qaatil ne kahaa
kuch yeh mehandi nahin meri ke mitaa bhi na sakuun
zabt kam-bakht ne aur aa ke galaa ghontaa hai
ke usse haal sunaauun to sunaa bhi na sakuun
us ke pahalu mein jo le jaa ke sulaa duun dil ko
nind aisi usse aaye ke jagaa bhi na sakuun
naqsh-e-paa dekh to luun laakh karuungaa sajde
sar mera arsh nahin hai ki jhuka bhi na sakuun
bevafaa likhte hain vo apni kalam se mujh ko
ye vo qismat ka likha hai jo mitaa bhi na sakuun
is tarah soye hain sar rakh ke mere zaanon par
apani soi hui qismat ko jagaa bhi na sakuun
0 Opinions:
Post a Comment