Chaand ke saath kai dard puraane nikle
Amjad Islam Amjad ...
chaand ke saath kai dard puraane nikle
kitne gham the jo tere gham ke bahaane nikle
fasl-e gul aai phir ik baar asiraan-e-vafaa
apne hi khuun ke dariyaa mein nahaane nikle
hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai
dil ki befaiz zaminon se khazaane nikle
umr guzri hai shab-e-taar mein aankhen malte
kis ufaq se mera khurshid na jaane nikle
kuu-e-qaatil mein chale jaise shahidon kaa juluus
khvaab yuun bhigti aankhon ko sajaane nikle
dil ne ik int se taamir kiya taaj mahal
tu ne ik baat kahi laakh fasaane nikle
dasht-e tanhaai-e-hijraan mein khadaa sochta huun
haaye kya log mera saath nibhaane nikle
main ne 'amjad' use bevaastaa dekha hi nahin
vo to khushbuu mein bhi aahat ke bahaane nikle
0 Opinions:
Post a Comment