Teri baaten hi sunaane aaye
Ahmed Faraz ...
teri baaten hi sunaane aaye
dost bhi dil hi dukhaane aaye
phuul khilte hain to hum sochte hain
tere aane ke zamaane aaye
aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe haal sunaane aaye
ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-gham
kaun ye bojh uthaane aaye
ajnabi dost humein dekh ke hum
kuch tujhe yaad dilaane aaye
dil dhadakta hai safar ke hangaam
kaash phir koi bulaane aaye
ab to rone se bhi dil dukhta hai
shaayad ab hosh thikaane aaye
kya kahin phir koi basti ujadi
log kyon jashn manaane aaye
so raho maut ke pahaluu mein 'faraz'
neend kis vaqt na jaane aaye
0 Opinions:
Post a Comment