Aag ho to jalne mein der kitni lagti hai
Farhat Abbas Shah ...
aag ho to jalne mein der kitni lagti hai
barf ke pighalne mein der kitni lagti hai
chaahe koi ruk jaaye chaahe koi rah jaaye
qaafilon ko chalane mein der kitni lagti hai
chaahe koi jaisaa bhi humsafar ho sadiyon se
raastaa badalne mein der kitni lagti hai
ye to vaqt ke bas mein hai ke kitni mohalat de
varnaa bakht dhakne mein der kitai lagti hai
mom ka badan lekar dhuup mein nikal aanaa
aur phir pighalne mein der kitni lagti hai
soch ki zaminon mein raaste judaa hon to
duur jaa nikalne mein der kitni lagti hai
2 Opinions:
Lovely ....
I hadnt heard of either the poet or the ghazal before ... but liked it a lot!
:) Glad you liked it.
Another one of his is ..
Maine dekha dewaanon ko shaam ke baad.
yaad kare jab mujh ko teri tanhaai
dekha karna guldaanon ko shaam ke baad
Post a Comment