Saturday, April 19, 2008

Ashaar mere yuun to zamaane ke liye hain

Jan Nisaar Akhtar ...


ashaar mere yuun to zamaane ke liye hain
kuch sher faqat unko sunaane ke liye hain

ab ye bhi nahin theek ki har dard mitaa den
kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain

aankhon mein jo bhar loge to kaanton se chubhenge
ye khvaab to palkon pe sajaane ke liye hain

dekhuun tere haathon ko to lagataa hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain

socho to badi cheez hai tahzeeb badan ki
varnaa to badan aag bujhaane ke liye hain

ye ilm ka saudaa ye risaale ye kitaaben
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain

0 Opinions:

Archives