Sunday, April 27, 2008

Naayak Nahin - Khalnaayak Hoon Main

ji haan - main hoon khalnaayak


naayak nahin - khalanaayak hai tu

naayak nahin - khalanaayak hoon main
zulmi bada duhkh-daayak hoon main
hai pyaar kya mujh ko kya khabar - bas yaar nafarat ke laayak hoon main

teri tabiyat to rangeen hai - par tu mohabbat ki tauheen hai

kuch bhi nahin yaad iss ke siva
na main kisi ka na koi mera
jo cheez maangi nahin vo mili - karta main kya aur bas chheen li

main bhi sharaafat se jeeta magar
mujh ko shareefon se lagata tha dar
sab ko pata tha main kamzor hoon - main isliye aaj kuch aur hoon

kitne khilaunon se khela hai tu - afsos phir bhi akela hai tu

bachppan mein likhi kahaani meri
kaise badalti javaani meri
saara samandar mere paas hai - ik boond paani meri pyaas hai

dekha tha maan ne kabhi pyaar se
ab mil gai vo bhi sansaar se
main vo lutera hoon jo lut gaya - maan ka aanchal kaheen chhup gaya

0 Opinions:

Archives