Hazaaron khvaahishen aisi
Mirza Ghalib ...
hazaaron khvaahishen aisi ki har khvaaish pe dam nikle
bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle
dare kyon mera qaatil kya rahegaa uski gardan par
vo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle
niklna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
bahut be-aabru hokar tere kuche se hum nikle
bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazi ka
agar is turra-e-purapech-o-kham ka pech-o-kham nikle
agar likhvaaye koi us ko khat to hum se likhvaaye
hui subah aur ghar se kaan par rakkhar qalam nikle
hui is daur mein mansuub mujh se baadaa-ashaami
phir aayaa vo zamaanaa jo jahaan se jaam-e-jam nikle
hui jin se tavaqqo khastagi ki daad paane ki
vo hum se bhi ziyaada khastaa-e-teg-e-sitam nikle
muhabbat mein nahin hai farq jine aur marne ka
ussi ko dekh kar jeete hain - jiss kaafir pe dam nikle
zara kar zor sine par ki teer-e-pursitam nikle
jo vo nikle to dil nikle - jo dil nikle to dam nikle
khudaa ke vaaste parda na kaabe se uthaa zaalim
kahin aisaa na ho - yahaan bhi - vahi kaafir sanam nikle
kahaan maikhaane ka daravaazaa 'ghalib' aur kahaan vaaiz
par itnaa jaante hain - kal vo jaata tha - ke hum nikle
2 Opinions:
dare kyon mera qaatil kya rahegaa uski gardan par
vo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle
bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazi ka
agar is turra-e-purapech-o-kham ka pech-o-kham nikle
hui jin se tavaqqo khastagi ki daad paane ki
vo hum se bhi ziyaada khastaa-e-teg-e-sitam nikle
zara kar zor sine par ki teer-e-pursitam nikle
jo vo nikle to dil nikle - jo dil nikle to dam nikle
WAAAHHH... ZZAALIMM
these line are evergreen lines... 1000 baar padhne ke baad bhi its still very refreshing.
Ghalib uncle...genious man
Hain aur bhi, duniya mein, sukhanwar bahut acche..
kehte hain ki ghalib ka hai, andaaz e bayaan aur.
Post a Comment