Karte hain mohabat sab hi magar - har dil ko silaa kab milta hai
Thank you Steele sahib.
aadhi raat ko ye duniya waale jab khwabon mein kho jaate hain
aise mein mohaabaat ke rogi yaadon ke chiragh jalaate hain
karte hain mohabat sab hi magar - har dil ko silaa kab milta hai
aati hain bahaaren gulshan mein - har phool magar kab khilta hai
main ranjhaa na tha tu heer na thi, hum apna pyar nibhaa na sake
yoon pyar ke khvaab bahut dekhe taabir magar hum paa na sake
maine to bahut chaaha lekin - tu rakh na saki vaadon ka bharam
ab rah-rah kar yaad aata hai - jo tune kiya is dil pe sitam
parda jo hata doon chehre se - tujhe log kahenge harjaai
majboor hoon main dil ke hathon - manzoor nahi teri ruswaai
socha hai ke apne hothon par - main chup ki mohar lagaa loonga
main teri sulagti yaadoon se ab - iss dil ko bahlaa loonga
2 Opinions:
Raj, that was Ghulam Ali's live performance.
Here is the filmi version:
http://www.youtube.com/watch?v=55X0Pg-Vt-Q
I had heard this very version almost 20 years back. Ghulam Ali's voice was very young and he did not have the live performance histrionics.
~ Steele
wow i saw this video years and years ago
Post a Comment