Thursday, July 17, 2008

Bhadakaa Rahe Hain Aag Lab-e-Nagmaagaar Se Hum

Sahir Ludhianvi...

bhadakaa rahe hain aag lab-e-nagmaagaar se hum
khaamosh kya rahenge zamaane ke dar se hum

kuch aur badh gaye andhere to kya hua
maayuus to nahin hain tulu-e-sahar se hum

le de ke apne paas faqat ek nazar to hai
kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum

maanaa ki is zamin ko na gulzaar kar sake
kuch khaar kam kar gaye guzre jidhar se hum

0 Opinions:

Archives