Bikharte Tuutate Lamhon Ko Apna Hamsafar Jaana
Makhmoor Saeedi...
Bikharte tuutate lamhon ko apna hamsafar jaana
thaa iss raah mein aakhir humen khud bhi bikhar jaana
havaa ke dosh par baadal ke tukade ki tarah hum hain
kissi jhonke se poochhenge ki hai hum ko kidhar jaana
mere jalte hue ghar ki nishaani bas yahi hogi
jahaan iss shahar mein raushni dekho thahar jaana
pas-e-zulmat koi suraj humaaraa muntazir hoga
issi ek vaham ko hum ne chiraag-e-rahguzar jaana
dayaar-e-khaamashi se koi rah-rah kar bulaataa hai
humen "makhmoor" ek din hai issi aavaaz par jaana
0 Opinions:
Post a Comment