Gair Kya Jaaniye Kyon Mujhko Buraa Kahte Hain
Firaq Gorakhpuri ...
Gair kya jaaniye kyon mujhko buraa kahte hain
aap kahte hain jo aisaa to bajaa kahte hain
vaaqai tere is andaaz ko kya kahte hain
na vafaa kahte hain jiss ko na jafaa kahte hain
ho jinhen shaq vo karen aur khudaaon ki talaash
hum to insaan ko duniya ka khudaa kahte hain
teri suurat nazar aai teri suurat se alag
husn ko ahal-e-nazar husn-numaa kahte hain
shikavaa-e-hijr karen kis dil se
hum khud apne ko bhi apne se judaa kahte hain
teri rudaad-e-sitam ka hai bayaan naa-mumkin
faayda kya hai magar yuun zaraa kahte hain
log jo kuch bhi kahen teri sitam-koshi ko
hum to in baaton ko achhaa na buraa kahte hain
auron ka tajurba jo kuch ho magar hum to "firaq"
talkhi-e-zist ko jine ka mazaa kahte hain
0 Opinions:
Post a Comment