Haath Uthe Hain Magar Lab Pe Duaa Koi Nahin
Ahmed Faraz...
haath uthe hain magar lab pe duaa koi nahin
ki ibaadat bhi vo jis ki jazaa koi nahin
ye bhi vaqt aanaa tha ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil mein sadaa koi nahin
aa ke ab taslim kar len tu nahin to main sahi
kaun maanega ke hum mein bevafaa koi nahin
vaqt ne vo khaak udaai hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin
khud ko yuun mahasuur kar baitha huun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hai raastaa koi nahin
kaise raaston se chale aur kis jagah pahunche 'faraz'
yaa hujuum-e-dostaan thaa saath yaa koi nahin
1 Opinions:
aa ke ab taslim kar len tu nahin to main sahi
kaun maanega ke hum mein bevafaa koi nahin
vaqt ne vo khaak udaai hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin
waah waah, zabardast...!
Ahmad Faraz's poetries are always evergreen.
AZiM
Post a Comment