Is Tarah Sataaya Hai Pareshan Kiya Hai
Afzal Firdaus...
is tarah sataaya hai pareshan kiya hai
goya ki muhabbat nahin ehasaan kiya hai
socha tha ki tum doosaron jaise nahin hoge
tum ne bhi vahi kaam meri jaan kiya hai
mushkil tha bahut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhi tum ne mera aasan kiya hai
har roz sajaate hain teri hijr mein gunche
ankhon ko teri yaad mein guldaan kiya hai
0 Opinions:
Post a Comment