Kal Tak Mujhko Gaurav Tha
kal tak mujhko gaurav tha - main devtaaon ki hoon santaan
aaj magar hoon aadha jaanwar - aaj hoon mein aadha insaan
kal tak meri dhadkan-dhadkan jeevan raag sunaati thi
aaj hai mere ang ang mein jaise thanda ek shamshaan
kaun pukaara kaun pukaara - dekho sab kuch badal gaya
koi peeche choot gaya hai - koi aage nikal gaya
aag ke hain ye naag jo hain lipte hue mere tan se
pairon se aur baazoo se aur seene se aur gardan se
dharti ki aankhen bheegi hain - ambar bhi rota hai
duniya mein koi sab paata hai aur koi sab khota hai
jharne ho nadiyaan ya sagar - sab hain paani ke dhaare
lekin in aankhon ke aasoon - jaise pighle angaare
cheekh rahi hai saari dishayen - koi disha khaamosh nahin
dosh nahin hai tera lekin - phir bhi tu nirdosh nahin
doob na jaaye duniya teri - aason ki is baarish mein
lagta hai tera dil aur aankhen - dono hain iss saazish mein
0 Opinions:
Post a Comment