Saturday, December 6, 2008

Log Tuut Jaate Hain, Ek Ghar Banaane Mein

Bashir Badr...

log tuut jaate hain, ek ghar banaane mein
tum taras nahin khaate bastiyaan jalaane mein

aur jaam tuutenge is sharaab-khaane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jaane mein

har dhadakte patthar ko log dil samajhate hain
umr beet jaati hai - dil ko dil banaane mein

faakhtaa ki majabuuri ye bhi kah nahin sakti
kaun saanp rakhtaa hai usske aashiyaane mein

duusari koi ladaki zindagi mein aayegi
kitni der lagti hai ussko bhuul jaane mein

1 Opinions:

Anonymous said...

log tuut jaate hain, ek ghar banaane mein
tum taras nahin khaate bastiyaan jalaane mein

waaaaaaaahhhh !!!!!

aur jaam tuutenge is sharaab-khaane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jaane mein


faakhtaa ki majabuuri ye bhi kah nahin sakti
kaun saanp rakhtaa hai usske aashiyaane mein

waah zabardast!

yaar aakri line...duusari koi ladaki zindagi mein aayegi ... bashir uncle ki hi hai... yaaa??!!

AZiM

Archives