Monday, May 4, 2009

Ya Rabba

na poocho dard-mandon se
hansi kaisi khushi kaisi
musibat sar pe rehati hai
kabhi kaisi kabhi kaisi

Pyaar hai ya sazaa, e mere dil bataa
toot ta kyon nahin - dard ka silsila
iss pyaar mein hon kaise-kaise imtihaan
ye pyaar likhe kaisi-kaisi dastaan

ya rabba, de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar

kaisa hai safar - wafaa ki manzil ka
na hai koi hal, dilon ki mushkil ka
dhadkan-dhadkan bikhri ranjishen
saansen-saansen tooti bandishen

kahin to har lamha honton pe fariyaad hai
kissi ki duniya chaahat mein barbaad hai

koi na sune sisakti aanhon ko
koi na dhare tadapti baahon ko
aadhi-aadhi puri khwaishen
tooti-footi sab farmaaishen

kahin shak hai kahin nafrat ki deewaar hai
kahin jeet mein bhi shamil pal-pal haar hai

ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar

0 Opinions:

Archives