Monday, November 23, 2009

Milti Hai Khuu-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein

Mirza Ghalib ...

Milti hai khuu-e-yaar se naar iltihaab mein
kaafir hoonn - gar na milti ho raahat azaab mein

Kab se hoon kya bataauun jahaan-e-kharaab mein
shab haaye hijr ko bhi rakhoon gar hisaab mein

Taa phir na intazaar mein neend aaye umr bhar
aane ka ahad kar gaye aaye jo khwaab mein

Qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhoon
main jaanta hoon jo vo likhenge jawaab mein

Mujh tak kab unki bazm mein aataa thaa daur-e-jaam
saaqi ne kuch milaa na diya ho sharaab mein

Jo munkir-e-vafaa ho fareb uss pe kya chale
kyun badgumaan hoon dost se dushman ke baab mein

Main muztarib hoon vasl mein khauf-e-raqiib se
daalaa hai tum ko vahm ne kiss pech-o-taab mein

Mai aur hizz-e-vasl, khudaa-saaz baat hai
jaan nazr deni bhuul gayaa iztiraab mein

Hai tevari chadi hui andar naqaab ke
hai ik shikan padi hui tarf-e-naqaab mein

Laakhon lagaav, ik churaanaa nigaah ka
laakhon banaav, ik bigadanaa itaab mein

Vo naalaa dil mein khas ke baraabar jagah na paaye
jiss naale se shigaaf pade aaftaab mein

Vo sehr muddaa talbi mein na kaam aaye
jiss sehr se safinaa ravaan ho saraab mein

'Ghalib' chutii sharaab, par ab bhi kabhi kabhi
peetaa hoon roz-e-abr-o-shab-e-maahataab mein

0 Opinions:

Archives