Tadap Uthuun Bhi To Zaalim Teri Duhaai Na Duun
Ahmed Faraz …
Tadap uthuun bhi to zaalim teri duhaai na duun
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhaai na duun
Tere badan mein dhadakne lagaa hoon dil ki tarah
Ye aur baat ke ab bhi tujhe sunaai na duun
Khud apne aap ko parkha to ye nadaamat hai
Ke ab kabhi usse ilzaam-e-bevafaai na duun
Mujhe bhi dhuundh kabhi mahv-e-aaina-daari
Main tera aqs hoon lekin tujhe dikhaai na duun
0 Opinions:
Post a Comment