Ye Aarzu Hi Rahi Koi Aarzu Karte
Himayat Ali Shayar…
Ye aarzu hi rahi koi aarzu karte
Khud apni aag mein jalte jigar lahuu karte
Tere jamaal ka paratau nigaah mein hota
Kabhi sabaa se kabhi gul se guftagu karte
Tere khayaal mein gum ho ke ek ghazal kahte
Aur us ghazal ko na rusvaa kuu-ba-kuu karte
Hum ahal-e-dil ko bahut thaa ye nashshaa-e-gham bhi
Ussi sharaab se raushan subuu-subuu karte
Ye ehataraam-e-junuun hai ki si liyaa daaman
Vagarnaa ek tamaashaa-saa kuu-ba-kuu karte
Humen yaqeen hai ki gar tu qarib bhi hota
To duur jaa ke kahin teri justajuu karte
1 Opinions:
Waah bhai waah! :P
Post a Comment