Faqiraana Aaye Sadaa Kar Chale
Meer Taqi Meer…
Faqiraana aaye sadaa kar chale
miyaan khush raho hum duaa kar chale
Jo tujh bin na jeene ko kahte the hum
so is ahd ko ab wafaa kar chale
Koi naa-ummeedaana karte nigaah
so tum hum se muunh bhi chhipaa kar chale
Bahot aarzu thi gali ki teri
so yaan se lahu mein nahaa kar chale
Dikhaai diye yuun ki bekhud kiya
humen aap se bhi judaa kar chale
Jabeen sajda karte hi karte gayi
haq-e-bandagi hum adaa kar chale
Parastish ki yaan taeen ki ayei but tujhe
nazar mein sabon ki khudaa kar chale
Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal
so iss fan ko aisas badaa kar chale
Kahen kya jo puuchhe koi hum se "meer"
jahaan mein tum aaye the, kya kar chale
0 Opinions:
Post a Comment