Gham Ki Baarish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nahin
Munir Niazi…
Gham ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
Tune mujh ko kho diya maine tujhe khoya nahin
Neend ka halkaa gulaabi-saa khumaar aankhon mein tha
Yuun lagaa jaise vo shab ko der tak soyaa nahin
Har taraf divaar-o-dar aur un mein aankhon ka hujuum
Kah sake jo dil ki haalat vo lab-e-goyaa nahin
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko sazaa
Kaatataa huun zindagi bhar main ne jo boyaa nahin
Jaanta hoon ek aise shakhs ko main bhi 'munir'
Gham se patthar ho gayaa lekin kabhi royaa nahin
0 Opinions:
Post a Comment