Sunday, October 10, 2010

Ghamon Ne Gher Liya Hai Mujhe To Kya Gham Hai

Sardar Anjum…

Ghamon ne gher liya hai mujhe to kya gham hai
Main muskuraa ke jiyuunga teri khushi ke liye
Kabhi kabhi tu mujhe yaad kar to leti hai
Sukuun itna saa kaafi hai zindagi ke liye

Ye vaqt jiss ne palat kar kabhi nahin dekha
Ye vaqt ab bhi muraadon ke phal laataa hai
Vo mod jiss ne humen ajnabi banaa daalaa
Us ek mod pe dil ab bhi gungunaataa hai

Fizaayen rukti hain raahon par jin se hum guzre
Ghataayen aaj bhi jhuk kar salaam karti hain
Har ek shab ye sunaa hai falak se kuch pariyaan
Vafaa ka chaand humaare hi naam karti hain

Ye mat kaho ki muhabbat se kuch nahin paayaa
Ye mere geet mere zakhm-e-dil ki rulaai
Jinhen tarasti rahi anjuman ki rangeeni
Mujhe mili hai muqaddar se aisi tanhaai

0 Opinions:

Archives