Gile Fuzuul The Ahad-E-Vafaa Ke Hote Hue
Ahmad Faraz…
Gile fuzuul the ahad-e-vafaa ke hote hue
So chup rahaa sitam-e-naaravaa ke hote hue
Ye qurbaton mein ajab faasle pade ki mujhe
Hai aashnaa ki talab aashnaa ke hote hue
Vo hilaagar hain jo majbooriyaan shumaar karen
Chiraag hum ne jalaayen havaa ke hote huye
Na kar kissi pe bharosa ke kashtiyaan doobeen
Khuda ke hote huye naakhuda ke hote huye
Kise khabar hai ki kaasaa-ba-dast phirte hain
Bahut se log saron par humaa ke hote hue
'Faraz' aise bhi lamhen kabhi kabhi aaye
Ki dil girifta rahaa dil-rubaa ke hote hue
4 Opinions:
Na kar kissi pe bharosa ke kashtiyaan doobeen
Khuda ke hote huye naakhuda ke hote huye
WAHHH,wonderful.
Hey Raj where r u.. naraaz ho kya bhai.?
AZiM
Hello AzIm,
Yahin hai dost. Aap kaise hain?
Naaraaz? Bilkul nahin. Just mood off - in general.
Hope all is well with you. Take care, dost.
mood kharab.. in general, hmmm
'dhoond ujde huye logon me wafa ke moti
ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon me milen'
bhai kab mil rahe ho?.. hum bhi to zara wafa ke moti dhoonden :))
Waaah!
The Eid break, lets catch up. :)
Post a Comment