Sunday, December 26, 2010

Haath Uthe Hain Magar Lab Pe Duaa Koi Nahin

Ahmed Faraz…

Haath uthe hain magar lab pe duaa koi nahin
Kii ibaadat bhi vo jiss ki jazaa koi nahin

Ye bhi vaqt aanaa tha ab to gosh har aavaaz hai
Aur mere barbaad-e-dil mein sadaa koi nahin

Aa ke ab taslim kar len tu nahin to main sahi
Kaun maanegaa ke hum mein bevafaa koi nahin

Vaqt ne vo khaak udaai hai ke dil ke dasht se
Qaafile guzre hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin

Khud ko yuun mahasuur kar baitha hoon apni zaat mein
Manzilen chaaron taraf hai raastaa koi nahin

Kaise raaston se chale aur kis jagah pahunche 'faraz'
Yaa hujuum-e-dostaan tha saath yaa koi nahin

0 Opinions:

Archives