Hum Par Tumhaari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai
Faiz Ahmed Faiz…
Hum par tumhaari chaah ka ilzaam hi to hai
dushnaam to nahin hai ye ikaraam hi to hai
Karte hain jiss pe taa'n, koi jurm to nahin
shauq-e-fuzuul-o-ulfat-e-nakaam hi to hai
Dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai
ae jaan-e-jaan ye harf tera naam hi to hai
Dil naa-ummid to nahin, na-kaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai
Dast-e-falak mein, gardish-e-taqdeer to nahin
dast-e-falak mein, gardish-e-ayyaam hi to hai
Aakhir to ek roz karegi nazar wafaa
wo yaar-e-khush-khasaal sar-e-baam hi to hai
Bheegi hai raat 'faiz' ghazal ibtidaa karo
waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai
0 Opinions:
Post a Comment