Irshad Kamil…
Tera shehar jo peechhe chhoot rahaa, kuch andar-andar toot raha
Hairaan hain mere do naina - yeh jharna kahaan se phoot raha
Jab-jab chaaha, tune rajj ke rulaaya
Jab-jab chaaha, tune khul ke hansaaya
Jab-jab chaaha, tune khud mein milaaya
Ik tu hi….
Mendha to hai - rabb kho gaya, mendha to hai - sab kho gaya
Teriya mohabbatan ne lut put saayaan - teriya mohabbatan ne sacheya satayaan
Khaali hath modi na tu - khaali hath aayaa
Kaanch pe chalna, aanch mein jalna - jitne bhi dard hain, maaye seh na sake ye jindadhi
Zehar ko peeke, sooli pe jee ke - nikle jo dum kabhi, to inn dardon se chchute jindadhi
Yun waqt kate - meri jaan ghate - armaan sabhi tukadon mein bate
Kaanch pe chalna aanch mein jalna -jitne bhi dard hain, maaye seh na sake ye jindadhi
Teriya judaiyaan agge dukh saare chhote - teriya judaiyaan agge gham saare khote
Pal-pal hote mere dil de totte
Dil ki gaagar se, saat saagar se chalke hai to kyon ye - paancho dariya bhi hairaan ho gaye
Saaz tan-man ke, sone se khanke - saath mere tha jab mera, ab to yeh veeraan ho gaye
Tere gham ko mitawaan kaise - tujhko bhulawan kaise - lagiya nibhawaan kaise - bhichde ko paawan Kaise
Dil ki gaagar se saat saagar se chhalke hai to kyon ye - paancho dariya bhi hairaan ho gaye
Teriya mohabbatan ne haq bhi diye hain - teriya mohabbatan ne dukh bhi diye hain
Tere bina lakh vaari mar ke jiye hain
Beautiful…. I can’t think of any other word to describe this song. This is one of those songs where I just want to highlight (bold) every line.
There are three versions of the same track. If I were to rate them, it would be:
- Wadali Brothers (Mehfil Mix) – embedded in the post.
- Hans Raj Hans
- Shahid Maliya (Reprise)