Puchhate Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai
Meena Kumari Naaz…
Puchhate ho to suno kaise basar hoti hai
Raat khairaat ki, sadqe ki sahar hoti hai
Saans bharne ko to jeenaa nahin kahte yaa rab
Dil hi dukhta hai na ab aasteen tar hoti hai
Jaise jaagi hui aankhon mein chubhen kaanch ke khvaab
Raat is tarah deewaanon ki basar hoti hai
Gham hi dushman hai mera gham hi ko dil dhundhta hai
Ek lamhe ki judaai bhi agar hoti hai
Ek markaz ki talaash ek bhatakti khushbu
Kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai
2 Opinions:
Poochte ho toh suno... Kaise basar hoti hain...
Raat humaare din ke intezaar mein katthe hain...
Aur din humaare aap ke intezaar mein...
:)
Lajwaab
Post a Comment