Sunday, December 18, 2011

Sadma To Hai Mujhe Bhi Ki Tujhse Judaa Hoon Main

Qateel Shifai…

Sadma to hai mujhe bhi ki tujhse judaa hoon main
Lekin ye sochta hoon ki ab tera kya hoon main

Bikharaa padaa hai tere hi ghar mein tera vajood
Bekaar mahfilon mein tujhe dhoondhta hoon main

Main khudkashi ke jurm ka karta hoon aitaraaf
Apne badan ki qabr mein kabse gadaa hoon main

Kis-kiska naam laaun zabaan par ki tere saath
Har roz ek shakhs nayaa dekhta hoon main

Naa jaane kis adaa se liya tune mera naam
Duniya samjh rahi hai ke sab kuchch tera hoon main

Le mere tajurbon se sabak ae mere raqeeb
Do chaar saal umr mein tujhse badaa hoon main

Jaagaa hua zameer vo aainaa hai "qateel"
Sone se pahle roz jise dekhta hoon main

3 Opinions:

Surya Murali said...

How do you find these very 'appropriate' and timely nuggets of poetry?

And... why do they have the desired effect on me?!

L o r d R a j said...

Can't help it.

These are just ringing in my head.

Woh kya hai na -

Aksar humne apne dil ko aise hi behlaaya hai
jinn baaton ko khud na samjhe, auron ko samjhaaya hai.

Surya Murali said...

Hmmm... Good to know it is not just in my head.

Reminds me of the song... Aye Ajnabi, especially...

Main yahan tukdon mein jee raha hoon
Tu kahin tukdon mein jeen rahi hai

Archives