Abhi Mujh Mein Kahin
Amitabh Bhattacharya…
Abhi mujh mein kahin, baaqi thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi, jaana zinda hoon main to abhi
Kuch aisi lagan, iss lamhe mein hai - ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne, isse chhoo loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Khushiyaan choom loon, yaa ro loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Dhoop mein jalte hue tann ko, chhaaya perh ki mil gayi
Roothe bachche ki hansi jaise, phuslaane se phir khil gayi
Kuch aisa hi ab mehsoos dil ko ho rahaa hai
Barson ke puraane zakhm pe marham lagaa sa hai
Kuch aisa reham hai, iss lamhe mein hai - ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne, isse chhoo loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Khushiyaan choom loon, yaa ro loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Dor se tooti patang jaisi, thi ye zindagani meri
Aaj ho kal ho mera naa ho, har din thi kahaani meri
Ik bandhan nayaa peechhe se ab mujhko bulaaye
Aane waale kal ki kyun fikar mujhko sataa jaaye
Ik aisi chubhan iss lamhe mein hai - ye lamha kahaan tha mera aa
Ab hai saamne, isse chhoo loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Khushiyaan choom loon, yaa ro loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
0 Opinions:
Post a Comment