Uss Ki Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhi Na Sakoon
Ameer Minai…
Uss ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakoon
Dhoondhane uss ko chalaa hoon jise paa bhi na sakoon
Daal kar khaak mere khoon pe qaatil ne kahaa
Kuchch ye mehandi nahin meri ke mita bhi na sakoon
Zabt kambakht ne aur aa ke galaa ghonta hai
Ke usse haal sunaaoon to sunaa bhi na sakoon
Uss ke pahlu mein jo leja ke sula doon dil ko
Neend aisi usse aaye ke jagaa bhi na sakoon
Naqsh-e-paa dekh to loon laakh karoonga sajde
Sar mera arsh nahin hai ki jhuka bhi na sakoon
Bevafaa likhte hain vo apni kalam se mujh ko
Ye vo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakoon
Iss tarah soye hain sar rakh ke mere zaanon par
Apni soi hui qismat ko jagaa bhi na sakoon
0 Opinions:
Post a Comment