Uss Ko Judaa Hue Bhi Zamanaa Bahut Hua
Ahmed Faraz…
Uss ko judaa hue bhi zamanaa bahut hua
Ab kya kahen ye qissa puraana bahut hua
Dhalti na thi kissi bhi jatan se shab-e-firaaq
Ai marg-e-naagahaan tera aanaa bahut hua
Hum khuld se nikal to gaye hain par ai khudaa
Itne se vaaqaye ka fasaana bahut hua
Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani
Uss se zaraa rabt badhaana bahut hua
Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar den
Iss aashiqi mein jaan se jaanaa bahut hua
Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
Maana ki uss se milna milaana bahut hua
Kya-kya na hum kharaab hue hain magar ye dil
Ai yaad-e-yaar tera thikaana bahut hua
Kahta tha naasehon se mere muunh na aaio
Phir kya tha ek huu kaa bahaana bahut hua
Lo phir tere labon pe ussi bevafaa ka zikr
Ahmad 'faraz' tujh se kaha na bahut hua
0 Opinions:
Post a Comment