Zamaanaa Aaj Nahin Dagmagaa Ke Chalne Ka
Jan Nissar Akhtar…
Zamaanaa aaj nahin dagmagaa ke chalne ka
Sambhal bhi jaa ki abhi vaqt hai sambhalne ka
Bahaar aaye chali jaaye phir chali aaye
Magar ye dard ka mausam nahin badalne ka
Ye theek hai ki sitaaron pe ghoom aaye hain
Magar kise hai saliqaa zameen pe chalne ka
Phire hain raaton ko aavaaraa hum to dekha hai
Gali-gali mein samaa chaand ke nikalne ka
Tamaam nashaa-e-hasti tamaam kaif-e-vajuud
Vo ik lamha tere jism ke pighalne ka
0 Opinions:
Post a Comment