Zindagi Jaisi Tamannaa Thi Nahin Kuchh Kam Hai
Shahryar…
Zindagi jaisi tamannaa thi nahin kuchh kam hai
Har ghadi hota hai ehasaas kahin kuchh kam hai
Ghar ki taamir tasavvur hi mein ho sakti hai
Apne naqshe ke mutaabiq ye zameen kuchh kam hai
Bichhade logon se mulaaqaat kabhi phir hogi
Dil mein ummid to kaafi hai yaqin kuchh kam hai
Ab jidhar dekhiye lagta hai ki iss duniya mein
Kahin kuchh cheez ziyaadaa hai kahin kuchh kam hai
Aaj bhi hai teri duuri hi udaasi ka sabab
Ye alag baat ki pahli si nahin kuchh kam hai
0 Opinions:
Post a Comment