Aag Poori Kahaan Bujhi Hai Abhi
Midahtul Akhtar…
Aag poori kahaan bujhi hai abhi
Didaa-e-tar mein tishnagi hai abhi
Doston se chukaa rahaa hoon hisaab
Dushmanon se kahaan thani hai abhi
Dost kah kar mujhe na de gaali
Dil pe ik zakhm-e-dosti hai abhi
Kaat de ye bhi khudparasti mein
Aur thodi si zindagi hai abhi
Jaane kyon kund ho gayaa nashtar
Zakhm ki dhaar to vahi hai abhi
0 Opinions:
Post a Comment